13,000 feet – That one minute of your life when you forget to breathe.
They said:”It’s now or never”. I said,”Let’s do it”.
Kabhi kabhi alfaaz kam pad jate hain tajurba byan karne mein,
Aisa hi kuch ehsas sa tha,
Ik khamoshi si thi maano hawa mein tairti,
Jo kah rahi thi, haule haule, fusfusate hue,
Parindon ki tarah hawa mein aazad rahna sikho,
Mehsoos karo apne dil ki dhadkanon ko,
Ud chalo inn madhosh si hawaon mein kahin,
Jee lo zindagi ke iss pal ko,
Kuch yun sammohit kar gaya tha woh lamha,
Piche rah gaye zindagi ke saare haseen pal,
Kash woh waqt ko wahin thaam pata,
Kash woh waqt wahi tham jata,
Mehsoos hua zindagi ki bediyon se aazad hokar kaisa lagta hai,
Gote lagate hawa ko cheerte cheel ki tarah,
Woh dubte suraj ki surkh lahu si khoobsurti,
Woh neela khula aasman aur main, sirf main,
Na tanhaiyaan, na kuch khone ki fikar,
Kaise kuch pal mein itni saari yaadein yun sama jati hain,
Ki alfaaz kam pad jate hain tajurba byan karne mein.
You get to live life once. But if you do it right, once is enough
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.