राह चलते वक़्त से मुलाक़ात हो गई,
दिल किया कि कुछ तोहफे दे दूँ,
जेबों में हाथ डाला तो बस लम्हों को पाया,
कुछ हँसी के, कुछ गम के,
कुछ सुख के, कुछ रम के,
वक़्त ने कहा रख ले इन्हे अपने पास,
इन लम्हों में ही तेरी ज़िन्दगी है,
पहली नौकरी कि ख़ुशी, पहले प्यार का एहसास,
माँ बाप के आँखों में खुशियों कि बरसात,
जब तुम बूढ़े हो जाओगे,
जब दुनिया में तुम्हारी जरुरत कम होगी,
तब यही लम्हे तुम्हारे जीने का सहारा होंगी।
About last evening – March 10, 2017
Lafz toh bahut hain bolne ko,
Par kuch baatein aankhon se hi byan ho jati hain,
Waise toh bahut hasinayein dekhi hai maine,
Ek tum hi ho jisse sochkar meri shab ki subah ho jati hai.
लफ्ज़ तो बहुत हैं बोलने को,
पर कुछ बातें आँखों से हि ब्यान हो जाती हैं,
वैसे तो बहुत हसिनाएं देखी है मैंने,
एक तुम हि हो जिसे सोचकर मेरी शब कि सुबह हो जाती है।
[English translation]
So many words are there to say,
But some conversations are better expressed through eyes,
Though I have met many beautiful girls in my life,
It’s you for whom my evenings get wash away in mornings.
Copyright © 2017, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Bachpan ke woh din / Those childhood days
This poem is dedicated to our old nostalgic childhood days. Days when we were innocent and life was simpler. People who grew up in 90s would feel and understand this better because they have lived those golden days. Hope this verse let you relive those moments. Let this verse drown you into those memory chains.
Bachpan ke woh din jab hum khub mastiyan karte the,
Nadan bade the, kisi se hum na darte the,
Kitni saral thi zindagi hamari,
Phir bhi bade khush rahte the,
Jab chhoti ungli chhu lene bhar se dosti ho jaya karti thi,
Nafrat aur jaatiwaad hume samajh na ati thi,
Jab garmi ki chhutiyon mein kulfi ko mann lalchata tha,
Masterji ki ek chhadi se pura homework ho jata tha,
Jab tv par do hi channel ata tha,
Jab tales pin aur shaktiman hame bahut bhata tha,
Jab ghar mein ek hi phone ki ghanti bazti thi,
Jab doston ke sath badi shararat hoti thi,
Jab pokemon go nahi, luka chhupi ki masti thi,
Baarish ke mausam mein kagaz ki kasti thi,
Jab google maps nahi, logon se pata puchha karte the,
Apni soch ko facebook nahi, bas diary mein likh diya karte the,
Woh nani ke ghar jane ko bade utavle hote the,
Pepperment ki toffiyon ke liye hum fut fut ke rote the,
Woh pariyon ki kahaniyan sune bina neend kahan ati thi,
School mein mummy papa ki yaad badi satati thi,
Jab class mein top kar puri duniya jeet lete the,
Papa ke gifts bade anokhe hote the,
Utni khushiyan toh aaj kisi cheez se nahi milti hain,
Ab samajh aya khwaishein toh maa baap ke paison se hi puri hoti hain,
Woh bachpan kitna suhana tha,
Khushiyon ka khazana tha,
Bachpan mein log pucha karte the,
Bade hokar kya banna hai,
Jawab ab samajh aya,
Phir se bachcha banna hai,
Woh bachpan ke din kahan gaye,
Yaaron hum kyun bade ho gaye.
PS: I will add the english translation soon.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Tu bas gai
Tu bas gai ruh mein iss qadar mere
Har sans pe likha hai naam tera
Tu hi shayari meri
Main hun shayar tera
Tu woh diary meri
Likhta hun jisme main dil ki jubaan
Tu mil gai hai
Mujhko mil gaya hai jahan
Tere jaisi hasin
Main dhundhu kahan
Ae meri bekhudi
Ae meri humnasin
Is aasman mein tum sa
Koi taara nahin
Tere khyalon mein
Doob ke aksar
Gaane likhta
Raat din
Teri mohabbat ka jadoo
Chhaya mujh par
Ho gaya hun
Ek panchhi bin par
Tu bas gai ruh mein iss qadar mere
Har sans pe likha hai naam tera
Ek baar keh de dil se mujhse
Main tera humsafar
Tu bas gai ruh mein iss qadar mere
Har sans pe likha hai naam tera.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Ek khwab / A dream
Ek khwaab dekha hai maine kabhi,
Jahan tum bhi hogi aur baarish bhi,
Baarish ki boondon mein hum sang bheeg rahe honge,
Unn namkeen hawaon ki mehek ko mehsus kar rahe honge,
Tanha chaand ki roshni mein safed ret ki chamak hogi,
Samundar ki lahrein phir bhi ek azeeb si khamoshi hogi,
Ek khushnuma ehsaas aur ek andheri raat,
Aur taaron ki timtimahat tale bas hamara sath,
Kuch ankahee baatein hongi,
Hontho pe muskurahat hogi,
Aankhon me shararat hogi,
Mann me sugbugaahat hogi,
Aasman ko dekh hum gunguna rahe honge,
Uss anmol pal ko taare bhi nihaar rahe honge,
Raat ki chaandni mein hum khoye honge,
EK dusre ki baahon mein soye honge,
Karke saari bandhano ko darkinaar,
Lahraate samunder ke kinare hoga apna aashiyaan,
Mohabbat hogi beshumaar,
Jo ho na sakega lafzon me bayaan,
Bas intezaar hai tumhara tasveer se nikalne ka,
Tumse do meethi baatein karne ka,
Ek nayi zindagi jeene ka,
Ek naya rasta lene ka.
English translation
I have a dream sometime,
In which you are there, so is rain,
Drenching we are together in those raindrops,
Feeling those salty smell of breeze,
There is glitter of white sand in the light of lonely moon,
There is weird sereneness in spite of waves of ocean,
A feeling of happiness and a dark night,
And our togetherness under twinkling stars,
Some words unsaid,
Blooming smile on lips,
Naughtiness in eyes,
A little hesitation in mind,
Beneath the sky, there are us, lullabying,
That precious moment being stared by stars,
We are there, lost in moonlight,
Resting in each other’s arms,
Leaving aside all bonds,
Besides rippling oceans, there is our home,
Unconditional love beyond imagination,
Which can’t be described merely in words,
All I am waiting is for you to jump out of the picture,
To have a word with you,
To live a new life with you,
To take a new path with you.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Tere khyalon mein
Raat din tere khyalon mein duba rahun,
Ik pal bhi tumhe na main bhula karun,
Har dua mein tumhe hi bas pucha karun,
Inn aahton mein tumhe dhundhta firun,
Teri parchhaiyon ka main pichha karun,
Teri har zikr mein main fikr karun,
Tu anzaan hai agar mere iss pyaar se,
Aa tujhko apni chahat se rubaru karun,
Ab toh aadat hai iss kadar tere sath ki,
Tere bin yeh zindagi hai bina saans ki,
Umeed ki sau kiranein hain palkon pe mere,
Jehn mein chhapi hai dastan ishq ki tere,
Main hun shayar tera, tu meri shayari,
Tu keh de toh likh dun main ik diary,
Saare panno pe honge tere ishq ki talab,
Mujhe zamane ki parwaah nahi hai ab,
Tu mera armaan hai, tu mera aasman,
Teri jaisi haseen iss jahan mein kahan,
Main toh zinda hun tere liye hi sanam,
Tu jo sath ho, mushkilein ho jayein kam,
Shab se subah tak tumhe socha karun,
So bhi jaun phir bhi tumhe dekha karun,
Raat din tere khyalon mein duba rahun,
Ik pal bhi tumhe na main bhula karun,
Raat din tere khyalon mein duba rahun,
Ik pal bhi tumhe na main bhula karun.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Na jaane kyun
Na jaane kyun yeh dil har pal tumhe dhundhta hai,
Tumse kuch kehne ko yeh yun machalta hai,
Tu jo hai toh yeh saansein chalti hain,
Tere bin yeh zindagi adhuri lagti hai,
Har sheesha mein tera aks nazar ata hai,
Tere siva kuch aur samajh na ata hai,
Na jaane kyun yeh dil har pal tumhe dhundhta hai,
Har lamha bas tera saath chahta hai,
Khwabon mein kyun har roz tu a jati hai,
Ab raaton mein neend mujhe na ati hai,
To na ho toh yeh jahan veerana lagta hai,
Tera mera rishta sadiyon purana lagta hai,
Na jaane kyun yeh dil har pal tumhe dhundhta hai,
Tumse kuch kehne ko yeh yun machalta hai,
Tu jo hai toh yeh saansein chalti hain,
Tere bin yeh zindagi adhuri lagti hai.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Bata dun kya
Tere mere ishq ki katha hai kya,
Mujhe tumse kitna pyaar hai,
Bata dun kya,
Sadiyon ka pyaasa,
Tu iss jeevan ki paribhasha,
Mujhe tera nasha hai,
Bata dun kya,
Mujhe mehsoos hua hai,
Tum sa na koi duja hai,
Tu mere jeene ki wazah hai,
Bata dun kya,
Tera mera rishta hamesha,
Koi prem kahani na ho aisa,
Mujhe teri chahat hai,
Bata dun kya,
Maine khuda se tumhe puchha hai,
Har dua mein tumhe maanga hai,
Mujhe teri khwaish hai,
Bata dun kya,
Tere mere ishq ki katha hai kya,
Mujhe tumse kitna pyaar hai,
Bata dun kya,
Tu jo paas hai,
Mujhko na koi pyaas hai,
Yeh kaisa ehsaas hai,
Bata dun kya,
Main ab sota nahi hun,
Shab se subah tak tumhe sochta hun,
Mujhe tera rog hai,
Bata dun kya,
Maine dil mein chhupai hai,
Tasveer jo tumhari hai,
Yeh sath rahega hamesha,
Bata dun kya,
Yeh kaisa ehsaas hai,
Sadiyon ki pyaas hai,
Mujhe tere pyaar ki aas hai,
Bata dun kya,
Tu mere jeene ki wajah hai kya,
Har saans pe tera naam likha hai kya,
Tu mere jeene ki wajah hai kya,
Har saans pe tera naam likha hai kya,
Tere mere ishq ki katha hai kya,
Mujhe tumse kitna pyaar hai,
Bata dun kya.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Jab se tumhe dekha
Jab se tumhe dekha,
Meri dhadkan badh gai hai,
Yeh saansein bhi ab mujhse,
Kuch kuch yeh keh rahi hai,
Tu hi hai,
Jeene ki meri tamanna,
Tu jo paas se guzri,
Meri neendein ud gai hain,
Khwabon ke mahal mein,
Raatein yun kat rahi hain,
Yeh dil dhak dhak karta hai,
Bas chahta tujhe hai paana,
Tumse yun milne,
Dhoondhta hai koi bahana,
Tere chehre ki muskurahat,
Mujhe chhu kar yun nikal gai,
Bhul gaya main rona,
Bas hansi hi sath reh gai,
Kuch aisa asar kiya tumne,
Main sote sote jaagta hun,
Sapnon ke jahan mein,
Khyalon ke pul bandhta hun,
Jab se tumhe dekha,
Meri dhadkan badh gai hai,
Yeh saansein bhi ab mujhse,
Kuch kuch yeh keh rahi hai,
Tu hi hai,
Jeene ki meri tamanna.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.
Aadat
Ab tu hi tu inn saanson mein hai,
Teri jikar har baaton mein hai,
Tu kyun nahi hai mere rubaru,
Tujhe haasil karne ki hai bas aarzoo,
Yun kaatil nigahon se ghayal karke,
Kahan ud chali mujhe deewana karke,
Mujhe ab so jaane de,
Teri yaadon mein kho jaane de,
Ab tu hi tu inn saanson mein hai,
Har gham ki dawa tu hi hai,
Mera rasta bhi tu, meri manzil bhi tu,
Meri har sawal ka jawab bas tu hi tu,
Ab mujhe teri yaadon mein jee lene de,
Iss gham ke aansoo ko pi lene de,
Kuchh aisa mujhpe asar karke,
Kahan gai mera chain leke,
Kaise kahun mujhe teri aadat hai,
Tu hi bas meri chaahat hai,
Mujhe ab so jaane de,
Teri yaadon mein kho jaane de,
Meri har ghazal mein tu hi hai,
Teri jikar har lafz mein hai,
Kuchh aisa mujhpe asar karke,
Kahan ud chali mujhe deewana karke.
Copyright © 2016, Aashish Barnwal, All rights reserved.