replica watches
https://luxurywatch.io

replica watches uk

www.bestwatchreplica.co

http://www.rolex-replica.me/
discount replica watch

Kya yahi hota hai pyaar

Yeh kaisa chhaya hai saman,
Yeh dil jaane khoya hai kahan,
Yeh badal garazne lage,
Bin mausam barasne lage,

Aisa kyun hota hai mere yaar,
Kya yahi hota hai pyaar,
Aisa kyun hota hai mere yaar,
Kya yahi hota hai pyaar,

Teri jikar mein dil dhadakne laga,
Teri fikar mein yeh machalne laga,
Mujh par kaisa chhaya khumaar,
Kya yahi hota hai pyaar,

Raat bhar main soya nahin,
Teri yaadon mein khoya kahin,
Yeh kya hua hai mujhe yaar,
Kya yahi hota hai pyaar,

Yeh duniya badala sa laga,
Bin wazah muskurane laga,
Yeh hawayein kuch kahne lagi,
Ik khushboo si bahne lagi,
Har pal rahta tera intezaar,
Kya yahi hota hai pyaar,

Sapnon mein kyun ati baar baar,
Kya yahi hota hai pyaar,
Aisa kyun hota hai mere yaar,
Kya yahi hota hai pyaar,

Tere bina sab suna lage,
Yeh dil tadapne lage,
Tere bina ek pal yahan,
Jeena mushkil iss jahan,

Mujh par kaisa chhaya khumaar,
Kya yahi hota hai pyaar,
Kaise kahun mujhko hai pyaar,
Bas tumse hi mere yaar.

Copyright © 2016, Aashish Barnwal,  All rights reserved.

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*