replica watches
https://luxurywatch.io

replica watches uk

www.bestwatchreplica.co

http://www.rolex-replica.me/
discount replica watch

Ek shayar aur uski shayari

Tumse hai mil kar aise,
Lagta hai mujhko jaise,
Dil ko mil gaya hai,
Ik naya rasta,

Chhapi hai tasveer teri,
Bheege inn palkon pe meri,
Tujhme paata main khud ko,
Tu mera jahan,

Tu jo ayi zindagi mein meri,
Neendein ud gai hain saari,
Kabhi na ho fansle,
Tere mere darmiyan,

Hain baaton mein teri,
Jadoo ki jhappi aisi,
Tu ho gai hai meri,
Jeene ki wazah,

Tere sang beete ghante aise,
Lagta hai lamhe jaise,
Yun hi kat jaye waise,
Yeh zindagi,

Falak tak jaake meri,
Aawazein kuch aise pahuchi,
Rab ne de di hai,
Saari khushiyan,

Tu jab na ho toh aise,
Lagta hai mujhko jaise,
Ek shayar ho gaya hai,
Bin shayari,

Tu hi hai manjil meri,
Tu iss sahil ki kashti,
Teri saari mushkilein meri,
Tere bin zindagi adhuri,

Tu hai sanson mein meri,
Meri har dhadkan hai teri,
Meri namaazon mein hai,
Tera chehra,

Tere bin har lamha aise,
Lagta hai sadiyon jaise,
Main hun chaand tera,
Tu mera aasman,

Hai rab se ibadat meri,
Tu har janam mein ho jaye meri,
Har pal hum sath rahe aise,
Jaise ek shayar aur uski shayari.

Copyright © 2016, Aashish Barnwal,  All rights reserved.

5 Comments, RSS

  1. akanksha

    I have been a big fan of urs poem, ur writing n ur creative thoughts… All d best for ur writing plzzzz do write some novel aashu 🙂

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*